Thursday 9 October 2014

Jang by Sahir Ludhyanvi

Khoon apna ho ya paraya ho
nasl-e-adam ka khoon hai aakhir
Jang mashriq mein ho ke maghrib mein
amn-e-aalam ka khoon hai aakhir

Bam gharo par giray kay sarhad par
Rooh-e-taamir zakhm khaati hai
Khet apnay jalay ke auro ke
zeest faaqo say tilmilaati hai  (zeest- life, faaqo- hunger)
Tank aagay badhay kay peechay hatay
Kokh dharti ki baanjh hoti hai
Fateh ka jashn ho ki haar ka sog
Zindagi maiyaton pay roti hai

Jang to khud hi ek masalaa* hai   (*masalaa-problem)
jang kyaa masalon ka hal degee
aag aur khoon aaj bakhshegee
bhookh aur ehtiyaaj kal degee   (*ehtiyaaj- needs]

Bartaree* ke suboot ki khaatir  (bartaree-superiority)
khoon bahaanaa hi kyaa zaroori hai?
ghar ki taareekiyaan mitaane ko
ghar jalana hi kya zaroori hai?

Isliye ae shareef insaano
jang taltee rahe to behtar hai
aap aur ham sabhi ke aangan meiN
shamaa jaltee rahe to behtar hai!
 
खून अपना हो या पराया हो
नस्ल-आदम का खून है अखिर
जंग मश्रिक में हो के मग्रीब में
अम्न-e-अलम का खून है अखिर

बम घरो पर गिरे के सरहद पर
रूह-ए-तामीर ज़ख्म खाती है
खेत अपने जले के औरो के
ज़ीस्ट फाको से तिलमिलाती है  (ज़ीस्ट- life, फाको- hunger)
टंक आगे बढे के पीछे हटे
कोख धरती की बांझ होती है
फतेह का जश्न हो कि हार का सोग
ज़िंदगी मैयतों पे रोती है
जंग तो खुद ही एक मसला* है   (*मसला-problem)
जंग क्या मसलों का हल देगी
आग और खून आज बख्शेगी
भूख और एहतियाज कल देगी   (*एहतियाज- needs]
बर्तरी* के सुबूत की खातिर  (बर्तरी-superiority)
खून बहाना ही क्या ज़रूरी है?
घर की तारीकिया मिटाने को
घर जलाना ही क्या ज़रूरी है?

इसलिये अए शरीफ इंसानो
जंग तल्टी रहे तो बेहतर है
आप और हम सभी के आँगन में
शम्मा जलती रहे तो बेहतर है!

Khutbah al Muniqa : Hazrat Ali's Sermon Without Alif'

 Alif in eastern philosophy stands for Oneness, it is the first letter and the most important letter arguably.  Tashayyo Video Link: https:/...